Zakir Khan Shayari

Zakir Khan is a well known name in the stand-up comedy league. From being a college dropout to becoming one of the most popular stand-up comedians in India the journey of this Sakht Launda has been inspiring. His ability to make people laugh with his simple jokes which one can relate in day to day life. But that’s just one side of Zakir Khan. There is a also a talented shayar and poet which is hidden from the world. His verses are deep enough to strike the chord of someone’s heart.

Recently Zakir posted a long message on his Facebook page that is a must read for all. Zakir wrote a hard-hitting post talking about the times when people used to make fun of him and his looks.

ADVERTISEMENT

Read the complete post by Zakir below:

“Bade funny ho bhai, bachpan se aise hi ho kya?”

Nahi bhai bachpan me toh aur dusre hi log they, jinki baaton par log hass rahe they aur mai sharmindagi me zameen khurach raha tha.

“Itna kaala hai ki adhere me deekhta tak nahi”

“Mai itni gori hoon aur tum sawle, tumhe haan kar di toh bachche chitkabre paida honge”

ADVERTISEMENT

“Yaar tumhare chehre pe daant alag hi chamkte hain”

Yeh jokes they unn logon ke, kyunki unhone toh hass kar hi kaha tha.

Aur unke sath jo log they, woh bolne wale se bhi zyada zor se hasse. Yeh woh hassi thi jo uss boli hui baat se bhi zyada chubi.

Sab hasse,

sabko ek dum maza hi aa gaya.

bas ek mai nahi hasa.

ADVERTISEMENT

Inn baaton ka jawab nahi tha tab shayad, aaj bhi nahi hai mere pass. Par iss zillat ne kuch aur karne ke liye bahut uksaya, nayi tarah ki mehnat karne ki majburi paida ki. Inn baaton ka jawab sochne me raatein jaag kar, jo kuch bhi socha-samjha uss sab se itaqam toh poora nahi hua par haan. Duniya ki bahut badi ladai ke liye tayyar zarur kar diya. Jiska natija mera aaj hai.

Papa kam baat karte hain, par unka beta iss mulq ke bade Comedian’s me se ek hai. Uss saari sarmindagi ka hisaab itna hai ki sarkar audit karne ko kehne lagi hai.

Unn sab ke bhi aksar msg aa hi jaate hain ab. mai bhi “smile“ wala jawab de diya karta hoon. Aur kya hi kahu, jab jawab dena tha tab jawab nahi tha aur ab uss baat ka jawab dena apne auhde me nahi jamta. Isliye shayad muskura dena hi theek lagta hai. Par yaad mujhe sab hai aur shayad rahega bhi.

Jitna tezab mila duniya se,
ussi ki sharab bechta hoon.
Zillatein chhaton par tang,
asma ko khab bechta hoon.

ADVERTISEMENT

You can read Zakir’s post on Facebook below:

Also read- 21 Beautiful Shayaris By Zakir Khan Which Shows The Other Side Of Sakht Launda

ADVERTISEMENT